zahr is mahaul ka mujh mein kuchh itna bhar gaya
zahr is māhaul kā mujh meñ kuchh itnā bhar gayā
saañp ne kaaTā mujhe aur kāTte hī mar gayā
maiñ zamāne kī sharāfat se kuchh aisā Dar gayā
mere andar kā farishta ḳhauf khā kar mar gayā
vo ghanerā peḌ jis ke saa.e meñ rahte the ham
āñdhiy.oñ meñ jab girā to ghar ko āñgan kar gayā
aa.ina TuuTā huā thā yā ḳharāsheñ thiiñ bahut
apnā chehra dekhte hī maiñ achānak Dar gayā
baat sachchī ho to bātil ḳhauf khātā hai zarūr
ek muusā ke liye fir'aun kā lashkar gayā
saañs lenā zindagī kī ik 'alāmat hai magar
ye bhī dekhā hai ki insāñ saañs le kar mar gayā
qalb kī tārīkiyāñ chehre pe raushan ho ga.iiñ
titliyoñ kā ruup aisā thā ki bhauñrā Dar gayā
jism bach kar aa gayā ye bhī ġhanīmat jāniye
varna maqtal meñ pahuñch kar kaun vāpas ghar gayā
qatl kā ilzām bhī jis par lagā sakte nahīñ
marne vaalā ek aisā naam le kar mar gayā
ek maiñ kotāh-qad thā us kī mahfil meñ 'mushīr'
is liye mere 'alāva har kisī kā sar gayā
zahr is mahaul ka mujh mein kuchh itna bhar gaya
sanp ne kaTa mujhe aur kaTte hi mar gaya
main zamane ki sharafat se kuchh aisa Dar gaya
mere andar ka farishta KHauf kha kar mar gaya
wo ghanera peD jis ke sae mein rahte the hum
aandhiyon mein jab gira to ghar ko aangan kar gaya
aaina TuTa hua tha ya KHarashen thin bahut
apna chehra dekhte hi main achanak Dar gaya
baat sachchi ho to baatil KHauf khata hai zarur
ek musa ke liye fir'aun ka lashkar gaya
sans lena zindagi ki ek 'alamat hai magar
ye bhi dekha hai ki insan sans le kar mar gaya
qalb ki tarikiyan chehre pe raushan ho gain
titliyon ka rup aisa tha ki bhaunra Dar gaya
jism bach kar aa gaya ye bhi ghanimat jaaniye
warna maqtal mein pahunch kar kaun wapas ghar gaya
qatl ka ilzam bhi jis par laga sakte nahin
marne wala ek aisa nam le kar mar gaya
ek main kotah-qad tha us ki mahfil mein 'mushir'
is liye mere 'alawa har kisi ka sar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.