zaKHm ke honT par luab us ka
zaḳhm ke hoñT par luaab us kā
ḳhush bahut hai mujhe ḳhush-āb us kā
us ne uploñ pe degchī rakkhī
aur pakne lagā shabāb us kā
ishq ne phir kisī ko bhejā hai
ḳhair-maqdam kare chanāb us kā
tujh tamannā meñ jo ibādat kī
kyā tujhe baḳhsh duuñ savāb us kā
qaus par se umuud uThtā huā
ya.anī phir jal uThā hai ḳhvāb us kā
dā.era dā.ere ko chhūtā huā
aur qausain par hijāb us kā
zaKHm ke honT par luab us ka
KHush bahut hai mujhe KHush-ab us ka
us ne uplon pe degchi rakkhi
aur pakne laga shabab us ka
ishq ne phir kisi ko bheja hai
KHair-maqdam kare chanab us ka
tujh tamanna mein jo ibaadat ki
kya tujhe baKHsh dun sawab us ka
qaus par se umud uThta hua
yani phir jal uTha hai KHwab us ka
daera daere ko chhuta hua
aur qausain par hijab us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.