Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaKHm to bahut aae phir bhi hausla rakkha

Rahman Khawar

zaKHm to bahut aae phir bhi hausla rakkha

Rahman Khawar

MORE BYRahman Khawar

    zaḳhm to bahut aa.e phir bhī hausla rakkhā

    umr-bhar mohabbat meñ ham ne dil baḌā rakkhā

    jis ne ek lamha bhī tujh se vāsta rakkhā

    apne-āp ko ḳhud se umr-bhar judā rakkhā

    barg-e-ḳhushk sūrat log ho ke āvāra

    sochte haiñ sarsar naam kyuuñ sabā rakkhā

    jab use na aanā thā phir ye kis tavaqqo.a par

    ham ne ghar darvāza rāt-bhar khulā rakkhā

    dil ġham-e-zamāna dastaras meñ kyā aatā

    pattharoñ zad par ḳhud ham ne aa.ina rakkhā

    ishq ko salīqe se kuchh hamīñ ne bartā hai

    varna qurbatoñ meñ yuuñ kis ne fāsla rakkhā

    yaad kar ke ro.egā sulūk ġhairoñ

    ne 'ḳhāvar' apnoñ se kuchh jo vāsta rakkhā

    zaKHm to bahut aae phir bhi hausla rakkha

    umr-bhar mohabbat mein hum ne dil baDa rakkha

    jis ne ek lamha bhi tujh se wasta rakkha

    apne-ap ko KHud se umr-bhar juda rakkha

    barg-e-KHushk ki surat log ho ke aawara

    sochte hain sarsar ka nam kyun saba rakkha

    jab use na aana tha phir ye kis tawaqqoa par

    hum ne ghar ka darwaza raat-bhar khula rakkha

    dil gham-e-zamana ki dastaras mein kya aata

    pattharon ki zad par KHud hum ne aaina rakkha

    ishq ko saliqe se kuchh hamin ne barta hai

    warna qurbaton mein yun kis ne fasla rakkha

    yaad kar ke roega tu suluk ghairon ka

    tu ne 'KHawar' apnon se kuchh jo wasta rakkha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now