Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zaKHmon ki dukanon pe KHaridar bhi aae

Moin Shadab

zaKHmon ki dukanon pe KHaridar bhi aae

Moin Shadab

MORE BYMoin Shadab

    zaḳhmoñ dukānoñ pe ḳharīdār bhī aa.e

    bāzār hai to raunaq-e-bāzār bhī aa.e

    shānoñ pe yahāñ sar jagah kaase lage haiñ

    gar sar bahālī ho to dastār bhī aa.e

    lo haq ke liye apnī jaḌeñ chhoḌ diiñ ham ne

    ab ghar se nikal kar koī ansār bhī aa.e

    koshish ye chaak aur ghumā.ūñgā maiñ kab tak

    jīvan pe mire ab koī ākār bhī aa.e

    kaam ā.eñge ye chāk-e-garebāñ ke rafū meñ

    kuchh ġham nahīñ hisse meñ agar ḳhaar bhī aa.e

    zaKHmon ki dukanon pe KHaridar bhi aae

    bazar hai to raunaq-e-bazar bhi aae

    shanon pe yahan sar ki jagah kase lage hain

    gar sar ki bahaali ho to dastar bhi aae

    lo haq ke liye apni jaDen chhoD din hum ne

    ab ghar se nikal kar koi ansar bhi aae

    koshish ka ye chaak aur ghumaunga main kab tak

    jiwan pe mere ab koi aakar bhi aae

    kaam aaenge ye chaak-e-gareban ke rafu mein

    kuchh gham nahin hisse mein agar KHar bhi aae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now