zamana tha hi nahin tu bhi ab mera nahin hai
zamāna thā hī nahīñ tū bhī ab mirā nahīñ hai
aur is pe zulm ki ye merā vāhima nahīñ hai
tumhāre harf-e-tasallī se hal nahīñ hogā
batā.ūñ kyā ki mohabbat kā mas.ala nahīñ hai
maiñ us ke ḳhauf se rātoñ ko so nahīñ saktā
vo sāniha jo abhī rūnumā huā nahīñ hai
miyān-e-hijr hī ye raaz bhī khulā mujh par
mirā vujūd hai tujh se tire sivā nahīñ hai
rukūñ to peḌ nahīñ koī sāya-dār yahāñ
chalūñ to shahr meñ chalne kā rāsta nahīñ hai
kisī tarah maiñ yahāñ jī gayā magar duniyā
jo sach kahūñ kisī pahlū se ḳhushnumā nahīñ hai
du'ā.eñ karte hue log ab ye sochte haiñ
hamāre shahr meñ shāyad koī ḳhudā nahīñ hai
maiñ is liye bhī taḌaptā huuñ tujh se milne ko
akelā shaḳhs kisī dard kī davā nahīñ hai
zamana tha hi nahin tu bhi ab mera nahin hai
aur is pe zulm ki ye mera wahima nahin hai
tumhaare harf-e-tasalli se hal nahin hoga
bataun kya ki mohabbat ka masala nahin hai
main us ke KHauf se raaton ko so nahin sakta
wo saniha jo abhi runuma hua nahin hai
miyan-e-hijr hi ye raaz bhi khula mujh par
mera wujud hai tujh se tere siwa nahin hai
rukun to peD nahin koi saya-dar yahan
chalun to shahr mein chalne ka rasta nahin hai
kisi tarah main yahan ji gaya magar duniya
jo sach kahun kisi pahlu se KHushnuma nahin hai
du'aen karte hue log ab ye sochte hain
hamare shahr mein shayad koi KHuda nahin hai
main is liye bhi taDapta hun tujh se milne ko
akela shaKHs kisi dard ki dawa nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.