zamane bhar mein kisi se mila nahin karte

zamane bhar mein kisi se mila nahin karte
Dr. Nadeem Akbar Nadeem
MORE BYDr. Nadeem Akbar Nadeem
zamāne bhar meñ kisī se milā nahīñ karte
tire sulūk kā ham to gila nahīñ karte
mire ḳhayāl kī bastī meñ chār-sū tum ho
kabhī bhī ḳhud se tujhe ham judā nahīñ karte
ye ḳhuuñ ke ashk to dil meñ utarte rahte haiñ
barūn-e-chashm ye hargiz girā nahīñ karte
diloñ meñ jin ke mohabbat ho jāguzīñ terī
namāz-e-'ishq vo hargiz qazā nahīñ karte
tire baġhair adhūrī namāz hotī hai
tire baġhair to sajda adā nahīñ karte
tujhī se māñgte haiñ aur tujhī se māñgā hai
tire sivā to kisī ko ḳhudā nahīñ karte
'nadīm' dekh sañbhal ke tū chal zamāne meñ
lahū ke rishte bhī ab to vafā nahīñ karte
zamane bhar mein kisi se mila nahin karte
tere suluk ka hum to gila nahin karte
mere KHayal ki basti mein chaar-su tum ho
kabhi bhi KHud se tujhe hum juda nahin karte
ye KHun ke ashk to dil mein utarte rahte hain
barun-e-chashm ye hargiz gira nahin karte
dilon mein jin ke mohabbat ho jaguzin teri
namaz-e-'ishq wo hargiz qaza nahin karte
tere baghair adhuri namaz hoti hai
tere baghair to sajda ada nahin karte
tujhi se mangte hain aur tujhi se manga hai
tere siwa to kisi ko KHuda nahin karte
'nadim' dekh sanbhal ke tu chal zamane mein
lahu ke rishte bhi ab to wafa nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.