zamane mein kuchh aisi bhi jafakari nahin hoti
zamāne meñ kuchh aisī bhī jafākārī nahīñ hotī
tirī jānib se sukh kī niiñd bhī jaarī nahīñ hotī
dam-e-ruḳhsat yahāñ apnī vafā rakh jaane aa.e ho
badan meñ dil huā kartā hai almārī nahīñ hotī
diloñ ke kāTne ke vāste ahbāb hote haiñ
diloñ ke kāTne ke vāste aarī nahīñ hotī
agar chāho to phir apnī sī koshish kar bhī sakte ho
hameñ mā'lūm hai tum se vafādārī nahīñ hotī
vafā bote ho āḳhir kis liye kam-zarf sīnoñ meñ
kabhī 'ashfāq' gamloñ meñ shajar-kārī nahīñ hotī
zamane mein kuchh aisi bhi jafakari nahin hoti
teri jaanib se sukh ki nind bhi jari nahin hoti
dam-e-ruKHsat yahan apni wafa rakh jaane aae ho
badan mein dil hua karta hai almari nahin hoti
dilon ke kaTne ke waste ahbab hote hain
dilon ke kaTne ke waste aari nahin hoti
agar chaho to phir apni si koshish kar bhi sakte ho
hamein ma'lum hai tum se wafadari nahin hoti
wafa bote ho aaKHir kis liye kam-zarf sinon mein
kabhi 'ashfaq' gamlon mein shajar-kari nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.