Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamane mein mohabbat ki agar barish nahin hoti

Syed Arif Ali Arif

zamane mein mohabbat ki agar barish nahin hoti

Syed Arif Ali Arif

MORE BYSyed Arif Ali Arif

    zamāne meñ mohabbat agar bārish nahīñ hotī

    kisī insān ko insān ḳhvāhish nahīñ hotī

    hazāroñ ranj-o-ġham kaise vo apne dil meñ rakhte haiñ

    ki jin ke dil meñ thoḌī bhī gunjā.ish nahīñ hotī

    ham apnī jaan de kar dostī haq nibhā dete

    zamāne agar is meñ koī sāzish nahīñ hotī

    tumhāre paañv to do-gām chal kar laḌkhaḌāte haiñ

    hamāre azm-e-mohkam meñ kabhī laġhzish nahīñ hotī

    tumhārī mohabbat sila hai ye ġhazal 'ārif'

    laboñ ko sher kahne kabhī jumbish nahīñ hotī

    zamane mein mohabbat ki agar barish nahin hoti

    kisi insan ko insan ki KHwahish nahin hoti

    hazaron ranj-o-gham kaise wo apne dil mein rakhte hain

    ki jin ke dil mein thoDi si bhi gunjaish nahin hoti

    hum apni jaan de kar dosti ka haq nibha dete

    zamane ki agar is mein koi sazish nahin hoti

    tumhaare panw to do-gam chal kar laDkhaDate hain

    hamare azm-e-mohkam mein kabhi laghzish nahin hoti

    tumhaari hi mohabbat ka sila hai ye ghazal 'arif'

    labon ko sher kahne ki kabhi jumbish nahin hoti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now