Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamin ki god mein baiTha humak raha hun main

Kausar Niyazi

zamin ki god mein baiTha humak raha hun main

Kausar Niyazi

MORE BYKausar Niyazi

    zamīñ god meñ baiThā humak rahā huuñ maiñ

    falak pe chāñd jānib lapak rahā huuñ maiñ

    nahīñ hai apnī zamīñ koī ḳhabar lekin

    ḳhalā meñ duur kisī shai ko tak rahā huuñ maiñ

    nahā gayā huuñ ḳhud apne lahū meñ sar-tā-pā

    junūñ aag meñ lekin dahak rahā huuñ maiñ

    agarche zulmat-e-shab meñ kamī nahīñ aa.ī

    misāl-e-māh-e-daraḳhshāñ chamak rahā huuñ maiñ

    har ek samt badaltī rutoñ mātam hai

    shagufta ġhunche sūrat chaTak rahā huuñ maiñ

    parakhne vaale mujhe dekh is tarah bhī zarā

    agar hai khoT to kaise chamak rahā huuñ maiñ

    girī jaatī hai dīvār-e-girya har lahza

    kisī aañkh se shāyad Dhalak rahā huuñ maiñ

    tamām shahr ne dīdār kar liyā 'kausar'

    ab apnī laash ke chehre ko Dhak rahā huuñ maiñ

    zamin ki god mein baiTha humak raha hun main

    falak pe chand ki jaanib lapak raha hun main

    nahin hai apni zamin ki koi KHabar lekin

    KHala mein dur kisi shai ko tak raha hun main

    naha gaya hun KHud apne lahu mein sar-ta-pa

    junun ki aag mein lekin dahak raha hun main

    agarche zulmat-e-shab mein kami nahin aai

    misal-e-mah-e-daraKHshan chamak raha hun main

    har ek samt badalti ruton ka matam hai

    shagufta ghunche ki surat chaTak raha hun main

    parakhne wale mujhe dekh is tarah bhi zara

    agar hai khoT to kaise chamak raha hun main

    giri hi jati hai diwar-e-girya har lahza

    kisi ki aankh se shayad Dhalak raha hun main

    tamam shahr ne didar kar liya 'kausar'

    ab apni lash ke chehre ko Dhak raha hun main

    Source:

    mata-e-sukhan (Pg. 298)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now