zamin par ek mukammal juzw laya ja chuka tha
zamīñ par ik mukammal juzv laayā jā chukā thā
mujhe mujh se bahut pahle banāyā jā chukā thā
mirī fard-e-'amal tāḳhīr se mujh ko milī thī
maiñ jab pahuñchā vahāñ mahshar uThāyā jā chukā thā
mirī āñkhoñ meñ ehsās-e-nazar bharne se pahle
mirā manzar mire andar banāyā jā chukā thā
samā'at jism ko sauñpī ga.ī par is se pahle
hamārī ruuh ko naġhma sunāyā jā chukā thā
hamāre ism the mā'rūf har mahfil meñ ham ko
pahuñchne se bahut pahle bulāyā jā chukā thā
kisī sūrat na thā mumkin ki ham baazī palaTte
ġhalat jānib ġhalat mohrā baḌhāyā jā chukā thā
safar meñ ik maqām aisā bhī aayā thā ki jis par
badan sākit khaḌā thā aur saaya jā chukā thā
na thā mumkin vahāñ hālāt ko tabdīl karnā
jahāñ tārīḳh ko yaksar bhulāyā jā chukā thā
mu'āfī kā huā thā qasr-e-shah se hukm jaarī
magar us vaqt 'āsim' zahr khāyā jā chukā thā
zamin par ek mukammal juzw laya ja chuka tha
mujhe mujh se bahut pahle banaya ja chuka tha
meri fard-e-'amal taKHir se mujh ko mili thi
main jab pahuncha wahan mahshar uThaya ja chuka tha
meri aankhon mein ehsas-e-nazar bharne se pahle
mera manzar mere andar banaya ja chuka tha
sama'at jism ko saunpi gai par is se pahle
hamari ruh ko naghma sunaya ja chuka tha
hamare ism the ma'ruf har mahfil mein hum ko
pahunchne se bahut pahle bulaya ja chuka tha
kisi surat na tha mumkin ki hum bazi palaTte
ghalat jaanib ghalat mohra baDhaya ja chuka tha
safar mein ek maqam aisa bhi aaya tha ki jis par
badan sakit khaDa tha aur saya ja chuka tha
na tha mumkin wahan haalat ko tabdil karna
jahan tariKH ko yaksar bhulaya ja chuka tha
mu'afi ka hua tha qasr-e-shah se hukm jari
magar us waqt 'asim' zahr khaya ja chuka tha
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 96)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.