zang-aluda riwayat se kya lena hai
zang-ālūda rivāyāt se kyā lenā hai
ham ko farsūda rusūmāt se kyā lenā hai
shart-e-avval hai vafā 'ishq meñ ai jaan magar
chhoḌiye aap ko is baat se kyā lenā hai
milne aa.e haiñ ridā oḌh ke ḳhāmoshī kī
aisī be-kaif mulāqāt se kyā lenā hai
'ishq to 'ishq hai dīvāna-pan is kā sheva
is ko duniyā ke ḳhayālāt se kyā lenā hai
kyoñ ba-zid hai batā tajdīd-e-marāsim ke liye
āḳhirash tujh ko mirī zaat se kyā lenā hai
thī ḳhatā kis kī hue kaise judā ham donoñ
aise derīna savālāt se kyā lenā hai
terī qurbat meñ bayābāñ bhī chaman hai jānāñ
ab mujhe raunaq-e-bāġhāt se kyā lenā hai
ham to 'maz.har' haiñ mohabbat ke mire yaar hameñ
nafrat-o-buġhz-o-fasādāt se kyā lenā hai
zang-aluda riwayat se kya lena hai
hum ko farsuda rusumat se kya lena hai
shart-e-awwal hai wafa 'ishq mein ai jaan magar
chhoDiye aap ko is baat se kya lena hai
milne aae hain rida oDh ke KHamoshi ki
aisi be-kaif mulaqat se kya lena hai
'ishq to 'ishq hai diwana-pan is ka shewa
is ko duniya ke KHayalat se kya lena hai
kyon ba-zid hai bata tajdid-e-marasim ke liye
aaKHirash tujh ko meri zat se kya lena hai
thi KHata kis ki hue kaise juda hum donon
aise derina sawalat se kya lena hai
teri qurbat mein bayaban bhi chaman hai jaanan
ab mujhe raunaq-e-baghat se kya lena hai
hum to 'mazhar' hain mohabbat ke mere yar hamein
nafrat-o-bughz-o-fasadat se kya lena hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.