Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zara dekhiye qibla chilman ulaT

Mohsin Khan Mohsin

zara dekhiye qibla chilman ulaT

Mohsin Khan Mohsin

MORE BYMohsin Khan Mohsin

    zarā dekhiye qibla chilman ulaT

    haiñ mushtāq dar par khaḌe ThaT ke ThaT

    lagā.ī jo bose mirzā ne raT

    kahā baajī ne dut na muue duur haT

    balā se kisī ko karo chit ki paT

    dilā do mujhe lakhna.ū ticket

    kahīñ shab jo dul.han se khaTpaT huī

    khaTā-khaT mue ne diye toḌ paT

    bajātā hai Dholak muā rāt-bhar

    ye bhaḌvā koī bhāñD hai ki naT

    kareñ gar tavā.if se saT-paT miyāñ

    kachahrī meñ kar maiñ bolūñ rapaT

    maiñ kaT-kaT ga.ī begamoñ meñ buā

    vo piite ġhaT-ġhaT ga.e jo lipaT

    taraqqī ho imsāl dūlhā phir

    riyāsat gar de ijāzat budget

    hai sher-e-ḳhudā jo āñkhoñ meñ nuur

    palak maar kar sher ko de palaT

    chhināloñ jackeT meñ pocket lageñ

    yahāñ ro.eñ kurtī ko gar jaa.e phaT

    ye karvaT aahaT balā hai buā

    chhapar-khaT pe karte haiñ kāyā-palaT

    saTāsaT vo maarā kareñ jaan jaa.e

    mirī bhī ye zid hai na chhoḌūñgī haT

    vo bhaḌvā sar-e-bazm kaT-kaT gayā

    rakhā 'anqā' begam se jis ne kapaT

    zara dekhiye qibla chilman ulaT

    hain mushtaq dar par khaDe ThaT ke ThaT

    lagai jo bose ki mirza ne raT

    kaha baji ne dut na mue dur haT

    bala se kisi ko karo chit ki paT

    dila do mujhe lakhnau ka ticket

    kahin shab jo dulhan se khaTpaT hui

    khaTa-khaT mue ne diye toD paT

    bajata hai Dholak mua raat-bhar

    ye bhaDwa koi bhanD hai ya ki naT

    karen gar tawaif se saT-paT miyan

    kachahri mein ja kar main bolun rapaT

    main kaT-kaT gai begamon mein bua

    wo pite hi ghaT-ghaT gae jo lipaT

    taraqqi ho imsal dulha ki phir

    riyasat ka gar de ijazat budget

    hai sher-e-KHuda ka jo aankhon mein nur

    palak mar kar sher ko de palaT

    chhinalon ki jackeT mein pocket lagen

    yahan roen kurti ko gar jae phaT

    ye karwaT ki aahaT bala hai bua

    chhapar-khaT pe karte hain kaya-palaT

    saTasaT wo mara karen jaan jae

    meri bhi ye zid hai na chhoDungi haT

    wo bhaDwa sar-e-bazm kaT-kaT gaya

    rakha 'anqa' begam se jis ne kapaT

    Source:

    Rekhti (Pg. 559)

    • Author: Rangin Saadat Yaar Khan, Mohsin Khan Mohsin, Insha Allah Khan Insha, Meer Yaar Ali Jaan
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd, New Delhi
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now