Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zara nigah uThao ki gham ki raat kaTe

Davarka Das Shola

zara nigah uThao ki gham ki raat kaTe

Davarka Das Shola

MORE BYDavarka Das Shola

    zarā nigāh uThāo ki ġham raat kaTe

    nazar nazar se milāo ki ġham raat kaTe

    ab aa ga.e ho to mere qarīb aa baiTho

    duī ke naqsh miTāo ki ġham raat kaTe

    shab-e-firāq hai sham-e-umīd le aao

    koī charāġh jalāo ki ġham raat kaTe

    kahāñ haiñ sāqī-o-mutrib kahāñ hai pīr-e-haram

    kahāñ haiñ sab ye bulāo ki ġham raat kaTe

    kahāñ ho mai-kade vaalo zarā idhar aao

    hameñ bhī aaj pilāo ki ġham raat kaTe

    nahīñ kuchh aur jo mumkin to yaar 'shola'

    koī ġhazal sunāo ki ġham raat kaTe

    zara nigah uThao ki gham ki raat kaTe

    nazar nazar se milao ki gham ki raat kaTe

    ab aa gae ho to mere qarib aa baiTho

    dui ke naqsh miTao ki gham ki raat kaTe

    shab-e-firaq hai sham-e-umid le aao

    koi charagh jalao ki gham ki raat kaTe

    kahan hain saqi-o-mutrib kahan hai pir-e-haram

    kahan hain sab ye bulao ki gham ki raat kaTe

    kahan ho mai-kade walo zara idhar aao

    hamein bhi aaj pilao ki gham ki raat kaTe

    nahin kuchh aur jo mumkin to yar 'shola' ki

    koi ghazal hi sunao ki gham ki raat kaTe

    Source:

    Shola-Zaar (Pg. 70)

    • Author: Davarka Das Shola
      • Edition: 1962
      • Publisher: Urdu Writers Co-Operative Society, Delhi
      • Year of Publication: 1962
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now