zara socha nahin jis ne ye mera dil dukhane par
zarā sochā nahīñ jis ne ye merā dil dukhāne par
ḳhushī se naach paḌtā thā maiñ us kā phone aane par
thakā-hārā huā chehra liye aayā huuñ mahfil meñ
udāsī muft meñ miltī hai dil ke Tuut jaane par
zamāne ne bahut koshish kī tum se duur karne kī
maiñ rishta toḌtā kab huuñ jo aa jā.ūñ nibhāne par
maiñ us kī baat kartā huuñ binā āñkhoñ meñ aañsū ke
mujhe bebas kiyā hai vaqt ne sab kuchh bhulāne par
banāne baiThtā huuñ to tirī tasvīr bantī hai
koī panchhī koī titlī koī dariyā banāne par
likhe hai 'arz' apne she'r jo tum ko sunā.ī deñ
samundar josh meñ hai ab kahīñ lahreñ uThāne par
zara socha nahin jis ne ye mera dil dukhane par
KHushi se nach paDta tha main us ka phone aane par
thaka-haara hua chehra liye aaya hun mahfil mein
udasi muft mein milti hai dil ke Tut jaane par
zamane ne bahut koshish ki tum se dur karne ki
main rishta toDta kab hun jo aa jaun nibhane par
main us ki baat karta hun bina aankhon mein aansu ke
mujhe bebas kiya hai waqt ne sab kuchh bhulane par
banane baiThta hun to teri taswir banti hai
koi panchhi koi titli koi dariya banane par
likhe hai 'arz' apne she'r jo tum ko sunai den
samundar josh mein hai ab kahin lahren uThane par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.