Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zara zara hi sahi aashna to main bhi hun

Ashfaq Husain

zara zara hi sahi aashna to main bhi hun

Ashfaq Husain

MORE BYAshfaq Husain

  zarā zarā sahī āshnā to maiñ bhī huuñ

  tumhāre zaḳhm ko pahchāntā to maiñ bhī huuñ

  na jaane kaun āñkhoñ se dekhte ho mujhe

  tumhārī tarah se TuuTā huā to maiñ bhī huuñ

  tumhī pe ḳhatm nahīñ mehr-o-māh gardish

  shikast-e-ḳhvāb ik silsila to maiñ bhī huuñ

  tumheñ manāne mujh ko ḳhayāl kyā aa.e

  ki apne aap se rūThā huā to maiñ bhī huuñ

  mujhe batā koī tadbīr rut badalne

  ki maiñ udaas huuñ ye jāntā to maiñ bhī huuñ

  talāsh apnī ḳhud apne vajūd ko kho kar

  ye kār-e-ishq hai is meñ lagā to maiñ bhī huuñ

  rumūz-e-harf na haath aa.e varna ai 'ashfāq'

  zamāne bhar se alag sochtā to maiñ bhī huuñ

  zara zara hi sahi aashna to main bhi hun

  tumhaare zaKHm ko pahchanta to main bhi hun

  na jaane kaun si aankhon se dekhte ho mujhe

  tumhaari tarah se TuTa hua to main bhi hun

  tumhi pe KHatm nahin mehr-o-mah ki gardish

  shikast-e-KHwab ka ek silsila to main bhi hun

  tumhein manane ka mujh ko KHayal kya aae

  ki apne aap se ruTha hua to main bhi hun

  mujhe bata koi tadbir rut badalne ki

  ki main udas hun ye jaanta to main bhi hun

  talash apni KHud apne wajud ko kho kar

  ye kar-e-ishq hai is mein laga to main bhi hun

  rumuz-e-harf na hath aae warna ai 'ashfaq'

  zamane bhar se alag sochta to main bhi hun

  RECITATIONS

  Ashfaq Husain

  Ashfaq Husain,

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque,

  Ashfaq Husain

  zara zara hi sahi aashna to main bhi hun Ashfaq Husain

  Nomaan Shauque

  zara zara hi sahi aashna to main bhi hun Nomaan Shauque

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now