zarre zarre mein yahan raqs-e-numu mera hai
zarre zarre meñ yahāñ raqs-e-numū merā hai
sabz hote hue sahrā meñ lahū merā hai
dar-ba-dar pūchhtā phirtā thā ki maiñ kis kā huuñ
aa.ī aflāk se āvāz ki tū merā hai
parda-e-ġhaib kī lāzim hai hifāzat mujh par
chaak hotā hai magar kaam rafū merā hai
dost is shahr meñ hai sirf mirā ek hī dost
dost is shahr meñ bas ek 'adū merā hai
kyoñ mire dil ne tujhe duur se mahsūs kiyā
kyā tire jism ke andar bhī lahū merā hai
kyā kabhī bhīgte haiñ ruuh ke aa'zā 'āsim'
yā faqat jism kī had tak hī vuzū merā hai
zarre zarre mein yahan raqs-e-numu mera hai
sabz hote hue sahra mein lahu mera hai
dar-ba-dar puchhta phirta tha ki main kis ka hun
aai aflak se aawaz ki tu mera hai
parda-e-ghaib ki lazim hai hifazat mujh par
chaak hota hai magar kaam rafu mera hai
dost is shahr mein hai sirf mera ek hi dost
dost is shahr mein bas ek 'adu mera hai
kyon mere dil ne tujhe dur se mahsus kiya
kya tere jism ke andar bhi lahu mera hai
kya kabhi bhigte hain ruh ke aa'za 'asim'
ya faqat jism ki had tak hi wuzu mera hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 145)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.