zawal raat par aaya nahin hai Dhal kar bhi
zavāl raat par aayā nahīñ hai Dhal kar bhī
kahīñ na raushnī sūraj ne kī nikal kar bhī
ye log 'ujlat-e-be-fā.ida meñ haiñ masrūf
kahīñ pahuñchte nahīñ tez tez chal kar bhī
ghirī huī haiñ añdhere meñ is tarah āñkheñ
charāġh raushnī karte nahīñ haiñ jal kar bhī
'ajīb baat hai manzil na.ī nahīñ miltī
safar kiyā hai ka.ī rāste badal kar bhī
'araq nichoḌ ke rakhtā hai band raushnī meñ
vo mutma.in nahīñ hotā hai gul masal kar bhī
har ek jism ne miTTī kā Dher honā hai
chale zamīn pe jitnā sañbhal sañbhal kar bhī
daraḳht kāTne kā faisla huā 'āsim'
samar ko chhū na sake log jab uchhal kar bhī
zawal raat par aaya nahin hai Dhal kar bhi
kahin na raushni suraj ne ki nikal kar bhi
ye log 'ujlat-e-be-faida mein hain masruf
kahin pahunchte nahin tez tez chal kar bhi
ghiri hui hain andhere mein is tarah aankhen
charagh raushni karte nahin hain jal kar bhi
'ajib baat hai manzil nai nahin milti
safar kiya hai kai raste badal kar bhi
'araq nichoD ke rakhta hai band raushni mein
wo mutmain nahin hota hai gul masal kar bhi
har ek jism ne miTTi ka Dher hona hai
chale zamin pe jitna sanbhal sanbhal kar bhi
daraKHt kaTne ka faisla hua 'asim'
samar ko chhu na sake log jab uchhal kar bhi
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 26)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.