zehn-e-bimar se ulajhta hun
zehn-e-bīmār se ulajhtā huuñ
roz dīvār se ulajhtā huuñ
tere kirdār ke liye aksar
apne kirdār se ulajhtā huuñ
tujh se uljhī huī hai yuuñ nisbat
yār-o-aġhyār se ulajhtā huuñ
jo mire dil jigar meñ jā utre
maiñ usī ḳhaar se ulajhtā huuñ
zindagī in dinoñ hai kuchh aise
jaise angār se ulajhtā huuñ
sochtā huuñ use kahūñ kuchh to
apne pindār se ulajhtā huuñ
dil ke dushman 'valīd' haiñ lākhoñ
roz do chaar se ulajhtā huuñ
zehn-e-bimar se ulajhta hun
roz diwar se ulajhta hun
tere kirdar ke liye aksar
apne kirdar se ulajhta hun
tujh se uljhi hui hai yun nisbat
yar-o-aghyar se ulajhta hun
jo mere dil jigar mein ja utre
main usi KHar se ulajhta hun
zindagi in dinon hai kuchh aise
jaise angar se ulajhta hun
sochta hun use kahun kuchh to
apne pindar se ulajhta hun
dil ke dushman 'walid' hain lakhon
roz do chaar se ulajhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.