zehn par bhi sawar hai wo shaKHs
zehn par bhī savār hai vo shaḳhs
mere dil kī pukār hai vo shaḳhs
maan letā huuñ ki burā hai magar
qābil-e-e'tibār hai vo shaḳhs
kis tarah se use bhulā.ūñ maiñ
ek hasīñ yādgār hai vo shaḳhs
us ko sochūñ to lafz milte haiñ
merī ġhazloñ ka saar hai vo shaḳhs
zindagī bhar chukānā hai us ko
mujh pe aisā udhār hai vo shaḳhs
maiñ idhar ġham-zada huuñ sāhil par
aur dariyā ke paar hai vo shaḳhs
zehn par bhi sawar hai wo shaKHs
mere dil ki pukar hai wo shaKHs
man leta hun ki bura hai magar
qabil-e-e'tibar hai wo shaKHs
kis tarah se use bhulaun main
ek hasin yaadgar hai wo shaKHs
us ko sochun to lafz milte hain
meri ghazlon ka sar hai wo shaKHs
zindagi bhar chukana hai us ko
mujh pe aisa udhaar hai wo shaKHs
main idhar gham-zada hun sahil par
aur dariya ke par hai wo shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.