zinda aankhon mein be-hisi raushan

Sabahat Urooj

zinda aankhon mein be-hisi raushan

Sabahat Urooj

MORE BYSabahat Urooj

  zinda āñkhoñ meñ be-hisī raushan

  murda chehroñ pe tāzgī raushan

  in nasīboñ pe roz ho mātam

  un mahfil meñ raushnī raushan

  ḳhud meñ us ko bujhā diyā maiñ ne

  phir huā mujh meñ aur bhī raushan

  bevafā thā magar bichhaḌne par

  us āñkhoñ meñ thī namī raushan

  ādatan sab se baat kartī huuñ

  us rahtī magar kamī raushan

  us ke chehre se chhan ke aatī hai

  tab lagtī hai chāñdnī raushan

  yuuñ raushan raheñ vo sab chehre

  jin ke dam se hai zindagī raushan

  zinda aankhon mein be-hisi raushan

  murda chehron pe tazgi raushan

  in nasibon pe roz ho matam

  un ki mahfil mein raushni raushan

  KHud mein us ko bujha diya main ne

  phir hua mujh mein aur bhi raushan

  bewafa tha magar bichhaDne par

  us ki aankhon mein thi nami raushan

  aadatan sab se baat karti hun

  us ki rahti magar kami raushan

  us ke chehre se chhan ke aati hai

  tab hi lagti hai chandni raushan

  yun hi raushan rahen wo sab chehre

  jin ke dam se hai zindagi raushan

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY