zinda tere baghair bhi rahna paDa mujhe
zinda tire baġhair bhī rahnā paḌā mujhe
is sānahe pe she'r bhī kahnā paḌā mujhe
dil kī muhim ko sahl nahīñ jaan merī jaan
apne bhī ehtijāj ko sahnā paḌā mujhe
zahmat uThānī hotī use aur vaar kī
so us kī ek choT pe Dhahnā paḌā mujhe
fardā kī fikr thī na thā maazī kā kuchh ḳhayāl
aise bhī ek haal meñ rahnā paḌā mujhe
is tarh sun rahā thā koī merī baat ko
kahne kī baat aur hai kahnā paḌā mujhe
ik 'umr tak chalā.e ga.e ḳhuub hāth-pāñv
jab aa.ī merī lahr to bahnā paḌā mujhe
zinda tere baghair bhi rahna paDa mujhe
is sanahe pe she'r bhi kahna paDa mujhe
dil ki muhim ko sahl nahin jaan meri jaan
apne bhi ehtijaj ko sahna paDa mujhe
zahmat uThani hoti use aur war ki
so us ki ek choT pe Dhahna paDa mujhe
farda ki fikr thi na tha mazi ka kuchh KHayal
aise bhi ek haal mein rahna paDa mujhe
is tarh sun raha tha koi meri baat ko
kahne ki baat aur hai kahna paDa mujhe
ek 'umr tak chalae gae KHub hath-panw
jab aai meri lahr to bahna paDa mujhe
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 60)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.