zindan se tere dil ye riha kyon nahin hua
zindāñ se tere dil ye rihā kyoñ nahīñ huā
ho kar judā tū mujh se judā kyoñ nahīñ huā
le aatī us galī kī mahak kaash is taraf
terā guzar ai bād-e-sabā kyoñ nahīñ huā
is dil pe terī chashm-e-karam kyoñ na paḌ sakī
honā thā bār-e-ġham jo 'atā kyoñ nahīñ huā
is baar kyā kamī hai ḳhudā jaane 'ishq meñ
dil kā papīhā naġhma-sarā kyoñ nahīñ huā
kyā ab tire sitam meñ vo shiddat nahīñ rahī
honā thā zaḳhm-e-dil jo harā kyoñ nahīñ huā
pathrā chuke haiñ haath mire de ke dastakeñ
dīvār-e-dil meñ dar tirī vā kyoñ nahīñ huā
kaise ḳhabar huī na use mere ranj kī
honā thā jis ko dil kī davā kyoñ nahīñ huā
puurā huā na kaam to jī ko rahā malāl
jab maslahat khulī to khulā kyoñ nahīñ huā
rahtī thiiñ tujh pe 'ishq kī 'nasrīñ' 'ināyateñ
ab ke karam vo bār-e-ḳhudā kyoñ nahīñ huā
zindan se tere dil ye riha kyon nahin hua
ho kar juda tu mujh se juda kyon nahin hua
le aati us gali ki mahak kash is taraf
tera guzar ai baad-e-saba kyon nahin hua
is dil pe teri chashm-e-karam kyon na paD saki
hona tha bar-e-gham jo 'ata kyon nahin hua
is bar kya kami hai KHuda jaane 'ishq mein
dil ka papiha naghma-sara kyon nahin hua
kya ab tere sitam mein wo shiddat nahin rahi
hona tha zaKHm-e-dil jo hara kyon nahin hua
pathra chuke hain hath mere de ke dastaken
diwar-e-dil mein dar teri wa kyon nahin hua
kaise KHabar hui na use mere ranj ki
hona tha jis ko dil ki dawa kyon nahin hua
pura hua na kaam to ji ko raha malal
jab maslahat khuli to khula kyon nahin hua
rahti thin tujh pe 'ishq ki 'nasrin' 'inayaten
ab ke karam wo bar-e-KHuda kyon nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.