zindagi aise chal rahi hai dost
zindagī aise chal rahī hai dost
jaise mayyat nikal rahī hai dost
aaj jaanā hai ġham kī mahfil meñ
shakl kapḌe badal rahī hai dost
be-vafā tum ho be-vafā ham haiñ
barf par naav chal rahī hai dost
hosh nīche girā.egā us ko
niiñd rassī pe chal rahī hai dost
ye udāsī hamārī āñkhoñ meñ
kitne nāzoñ se pal rahī hai dost
aag kaise bujhegī paanī se
aag paanī meñ jal rahī hai dost
zindagi aise chal rahi hai dost
jaise mayyat nikal rahi hai dost
aaj jaana hai gham ki mahfil mein
shakl kapDe badal rahi hai dost
be-wafa tum ho be-wafa hum hain
barf par naw chal rahi hai dost
hosh niche giraega us ko
nind rassi pe chal rahi hai dost
ye udasi hamari aankhon mein
kitne nazon se pal rahi hai dost
aag kaise bujhegi pani se
aag pani mein jal rahi hai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.