zindagi bhi kaisi chaal chal rahi hai
zindagī bhī kaisī chaal chal rahī hai
ḳhud ko hī girā ke ḳhud sañbhal rahī hai
vāsta hamārā barf kī tarah thā
barf Thos thī par ab pighal rahī hai
kyā bahār ye hai ye ḳhizāñ ke jaisī
tum ne to kahā thā rut badal rahī hai
kyoñ idhar-udhar kī baat kar rahā hai
koī to tujhe bhī baat khal rahī hai
āj-kal bhalā kyoñ be-sabab hī ḳhush huuñ
dekh ye udāsī haath mal rahī hai
merī har ḳhushī hī ret ke hai mānind
ret haath meñ hai aur phisal rahī hai
kyoñ ye fikr-e-fardā is qadar hai bhūkī
aaj kī bhī ḳhushiyāñ kyoñ nigal rahī hai
'zān' bin Dare hī ātish-e-jigar pe
us kī yaad nange paañv chal rahī hai
zindagi bhi kaisi chaal chal rahi hai
KHud ko hi gira ke KHud sanbhal rahi hai
wasta hamara barf ki tarah tha
barf Thos thi par ab pighal rahi hai
kya bahaar ye hai ye KHizan ke jaisi
tum ne to kaha tha rut badal rahi hai
kyon idhar-udhar ki baat kar raha hai
koi to tujhe bhi baat khal rahi hai
aaj-kal bhala kyon be-sabab hi KHush hun
dekh ye udasi hath mal rahi hai
meri har KHushi hi ret ke hai manind
ret hath mein hai aur phisal rahi hai
kyon ye fikr-e-farda is qadar hai bhuki
aaj ki bhi KHushiyan kyon nigal rahi hai
'zan' bin Dare hi aatish-e-jigar pe
us ki yaad nange panw chal rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.