zindagi di hai to jine ka hunar bhi dena
zindagī dī hai to jiine kā hunar bhī denā
paañv baḳhsheñ haiñ to taufīq-e-safar bhī denā
guftugū tū ne sikhā.ī hai ki maiñ gūñgā thā
ab maiñ bolūñgā to bātoñ meñ asar bhī denā
maiñ to is ḳhāna-badoshī meñ bhī ḳhush huuñ lekin
aglī nasleñ to na bhaTkeñ unheñ ghar bhī denā
zulm aur sabr kā ye khel mukammal ho jaa.e
us ko ḳhanjar jo diyā hai mujhe sar bhī denā
zindagi di hai to jine ka hunar bhi dena
panw baKHshen hain to taufiq-e-safar bhi dena
guftugu tu ne sikhai hai ki main gunga tha
ab main bolunga to baaton mein asar bhi dena
main to is KHana-badoshi mein bhi KHush hun lekin
agli naslen to na bhaTken unhen ghar bhi dena
zulm aur sabr ka ye khel mukammal ho jae
us ko KHanjar jo diya hai mujhe sar bhi dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.