Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi ehsan hi se mawara thi main na tha

Raoof Khair

zindagi ehsan hi se mawara thi main na tha

Raoof Khair

MORE BYRaoof Khair

    zindagī ehsān se māvarā thī maiñ na thā

    taaq par rakkhī huī merī davā thī maiñ na thā

    merī hastī ā.īna thī shikast-e-ā.īna

    baat itnī na samjhe mere sāthī maiñ na thā

    to sab kuchh sahī nā-chīz ye ab kuchh sahī

    vo to merī ibtidā be-intihā thī maiñ na thā

    dekhtā rahtā huuñ manzar dīdanī nā-dīdanī

    haañ magar hairān chashm-e-mā-sivā thī maiñ na thā

    mujhe dushman samajhtā hai to dushman sahī

    bhī vāqif hai koī nādān sāthī maiñ na thā

    mere andar darinda khā rahā thā pech-o-tāb

    aur phir shā.istagī zanjīr-e-pā thī maiñ na thā

    ḳhair ab to chyūñTī bhī dauḌtī hai kāTne

    jhūlte the jab ki darvāze pe hāthī maiñ na thā

    zindagi ehsan hi se mawara thi main na tha

    taq par rakkhi hui meri dawa thi main na tha

    meri hasti aaina thi ya shikast-e-aina

    baat itni si na samjhe mere sathi main na tha

    tu hi to sab kuchh sahi na-chiz ye ab kuchh sahi

    wo to meri ibtida be-intiha thi main na tha

    dekhta rahta hun manzar didani na-didani

    han magar hairan chashm-e-ma-siwa thi main na tha

    tu mujhe dushman samajhta hai to dushman hi sahi

    tu bhi waqif hai koi nadan sathi main na tha

    mere andar ka darinda kha raha tha pech-o-tab

    aur phir shaistagi zanjir-e-pa thi main na tha

    KHair ab to chyunTi bhi dauDti hai kaTne

    jhulte the jab ki darwaze pe hathi main na tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now