zindagi jab bhi aah bharti hai
zindagī jab bhī aah bhartī hai
yaad biite dinoñ ko kartī hai
hai zamāne ko ye pata yaaro
shūrvīroñ kī merī dhartī hai
maut ke aage haiñ sabhī bebas
maut kab kis kī yuuñ Thahartī hai
paas yāroñ kā ho ḳhazāna bas
ziist yāroñ se hī sañvartī hai
us ko kaise bhulā.ūñ maiñ yaaro
dil meñ tasvīr jab ubhartī hai
zindagi jab bhi aah bharti hai
yaad bite dinon ko karti hai
hai zamane ko ye pata yaro
shurwiron ki meri dharti hai
maut ke aage hain sabhi bebas
maut kab kis ki yun Thaharti hai
pas yaron ka ho KHazana bas
zist yaron se hi sanwarti hai
us ko kaise bhulaun main yaro
dil mein taswir jab ubharti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.