zindagi ka zaKHm bhar nahin saka
zindagī kā zaḳhm bhar nahīñ sakā
jī rahā huuñ maiñ ki mar nahīñ sakā
baat koī thī ki ban nahīñ sakī
kaam koī thā ki kar nahīñ sakā
ab vahī taraf hai mere chau taraf
jis taraf se maiñ guzar nahīñ sakā
pāniyoñ pe koī pul to thā kahīñ
maiñ hī thā ki paañv dhar nahīñ sakā
rāste ravāñ the mere ḳhuun meñ
maiñ kahīñ qayām kar nahīñ sakā
maiñ pahuñch gayā thā Thiik vaqt par
aur vo intizār kar nahīñ sakā
ek 'umr par bhī 'āftāb' maiñ
apne aap se mukar nahīñ sakā
zindagi ka zaKHm bhar nahin saka
ji raha hun main ki mar nahin saka
baat koi thi ki ban nahin saki
kaam koi tha ki kar nahin saka
ab wahi taraf hai mere chau taraf
jis taraf se main guzar nahin saka
paniyon pe koi pul to tha kahin
main hi tha ki panw dhar nahin saka
raste rawan the mere KHun mein
main kahin qayam kar nahin saka
main pahunch gaya tha Thik waqt par
aur wo intizar kar nahin saka
ek 'umr par bhi 'aftab' main
apne aap se mukar nahin saka
- Book : Mohabbat Jab Nahin Hogi (Pg. 98)
- Author : Aftab Husain
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.