zindagi kaise ajab moD pe le aai hai
zindagī kaise 'ajab moḌ pe le aa.ī hai
bhiiḌ sī bhiiḌ hai tanhā.ī sī tanhā.ī hai
jo bhī miltā hai du'ā detā hai marne kī mujhe
dil lagāne kī bhī kyā ḳhuub sazā paa.ī hai
sar uThātī huī hasrat kā huā qatl-e-'ām
dil vo duniyā hai jahāñ 'ālam-e-tanhā.ī hai
tum mire sāmne aao to 'ināyat hogī
dil kī dahlīz pe baiThī huī tanhā.ī hai
jis ke jiine ke liye tum ne du'ā māñgī ho
aise 'āshiq ko bhalā maut kahāñ aa.ī hai
ḳhaak rakkhegā mire zaḳhm pe marham 'āfī'
ye zamāna jo haqīqat meñ tamāshā.ī hai
zindagi kaise 'ajab moD pe le aai hai
bhiD si bhiD hai tanhai si tanhai hai
jo bhi milta hai du'a deta hai marne ki mujhe
dil lagane ki bhi kya KHub saza pai hai
sar uThati hui hasrat ka hua qatl-e-'am
dil wo duniya hai jahan 'alam-e-tanhai hai
tum mere samne aao to 'inayat hogi
dil ki dahliz pe baiThi hui tanhai hai
jis ke jine ke liye tum ne du'a mangi ho
aise 'ashiq ko bhala maut kahan aai hai
KHak rakkhega mere zaKHm pe marham 'afi'
ye zamana jo haqiqat mein tamashai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.