zindagi ke qimar-KHane mein
zindagī ke qimār-ḳhāne meñ
ho ga.ī maat dil lagāne meñ
tujh se milne ko ḳhud se miltā huuñ
vaqt kaTtā hai āne-jāne meñ
tujh ko kho kar udaas rahtā huuñ
harj kyā hai tujhe batāne meñ
ab to mujh meñ bhī maiñ nahīñ baaqī
DhūñDhtī kyā ho is divāne meñ
ek pal raushnī dikhā.ī dī
kuchh milā to hai ghar jalāne meñ
aag jalne lagī zabāñ pe mirī
hijr kā zā.iqa batāne meñ
jāñ-ba-lab hai marīz ye terā
der kitnī hai tere aane meñ
rāt-din kā safar kaTe aise
ḳhud ko khone meñ tujh ko paane meñ
talḳh sā jaam zindagī niklī
kyā milā ham ko duniyā-ḳhāne meñ
zindagi ke qimar-KHane mein
ho gai mat dil lagane mein
tujh se milne ko KHud se milta hun
waqt kaTta hai aane-jaane mein
tujh ko kho kar udas rahta hun
harj kya hai tujhe batane mein
ab to mujh mein bhi main nahin baqi
DhunDhti kya ho is diwane mein
ek pal raushni dikhai di
kuchh mila to hai ghar jalane mein
aag jalne lagi zaban pe meri
hijr ka zaiqa batane mein
jaan-ba-lab hai mariz ye tera
der kitni hai tere aane mein
raat-din ka safar kaTe aise
KHud ko khone mein tujh ko pane mein
talKH sa jam zindagi nikli
kya mila hum ko duniya-KHane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.