zindagi ki KHwahishon se zindagi rone lagi
zindagī kī ḳhvāhishoñ se zindagī rone lagī
dekh kar hāthoñ ke chhāle muflisī rone lagī
ik ra.īs-e-vaqt ne jab gāliyāñ kaase meñ diiñ
phir faqīr-e-vaqt kī dariyā-dilī rone lagī
aaj jab pahuñchā ujālā andhī āñkhoñ ke huzūr
ġham-zada sūraj huā aur chāñdnī rone lagī
Dūbte sūraj kā manzar is qadar ġhamnāk thā
ki añdheroñ se lipaT kar raushnī rone lagī
kar diyā beTe ne jab mahñge khilaune kā savāl
ek bebas baap kī phir salary rone lagī
muddatoñ ke baa'd jab pahuñchā dayār-e-yār meñ
dekh kar vo ḳhud bhī royā aur galī rone lagī
zindagi ki KHwahishon se zindagi rone lagi
dekh kar hathon ke chhaale muflisi rone lagi
ek rais-e-waqt ne jab galiyan kase mein din
phir faqir-e-waqt ki dariya-dili rone lagi
aaj jab pahuncha ujala andhi aankhon ke huzur
gham-zada suraj hua aur chandni rone lagi
Dubte suraj ka manzar is qadar ghamnak tha
ki andheron se lipaT kar raushni rone lagi
kar diya beTe ne jab mahnge khilaune ka sawal
ek bebas bap ki phir salary rone lagi
muddaton ke ba'd jab pahuncha dayar-e-yar mein
dekh kar wo KHud bhi roya aur gali rone lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.