Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi marg ki mohlat hi sahi

Qalaq Merathi

zindagi marg ki mohlat hi sahi

Qalaq Merathi

MORE BYQalaq Merathi

    zindagī marg mohlat sahī

    bahr-e-vāmāñda iqāmat sahī

    dostī vaj.h-e-adāvat sahī

    dushmanī bahr-e-rifāqat sahī

    tuul dete ho adāvat ko kyuuñ

    muḳhtasar qissa-e-ulfat sahī

    rakh kisī vaz.a se ehsān ḳhū

    mujh ko āzār se rāhat sahī

    aap bhī nahīñ chhuTtā dāman

    mere dar pe mirī shāmat sahī

    āqibat hashr ko aanā ik din

    ruuTh jaanā tirī aadat sahī

    kuchh bhī ai baḳht mayassar hai tujhe

    tajassus se farāġhat sahī

    kūcha-e-ġhair meñ chal kar rahiye

    gar nahīñ aish to hasrat sahī

    yahī taqrīb-e-sitam ho ai kaash

    har tarah ġhair se nafrat sahī

    ab to uTh aa.e lahad se be-tāb

    na sahī chaal qayāmat sahī

    yādgārī koī baat to ho

    maut apnī tirī ruḳhsat sahī

    adl-o-insāf-e-qayāmat ma.alūm

    āh-o-fariyād fursat sahī

    ai 'qalaq' shukr-e-sitam be-jā kyuuñ

    āh-o-fariyād fursat sahī

    zindagi marg ki mohlat hi sahi

    bahr-e-wamanda iqamat hi sahi

    dosti wajh-e-adawat hi sahi

    dushmani bahr-e-rifaqat hi sahi

    tul dete ho adawat ko kyun

    muKHtasar qissa-e-ulfat hi sahi

    rakh kisi waza se ehsan ki KHu

    mujh ko aazar se rahat hi sahi

    aap ka bhi nahin chhuTta daman

    mere dar pe meri shamat hi sahi

    aaqibat hashr ko aana ek din

    ruTh jaana teri aadat hi sahi

    kuchh bhi ai baKHt mayassar hai tujhe

    ya tajassus se faraghat hi sahi

    kucha-e-ghair mein chal kar rahiye

    gar nahin aish to hasrat hi sahi

    yahi taqrib-e-sitam ho ai kash

    har tarah ghair se nafrat hi sahi

    ab to uTh aae lahad se be-tab

    na sahi chaal qayamat hi sahi

    yaadgari ki koi baat to ho

    maut apni teri ruKHsat hi sahi

    adl-o-insaf-e-qayamat malum

    aah-o-fariyaad ki fursat hi sahi

    ai 'qalaq' shukr-e-sitam be-ja kyun

    aah-o-fariyaad ki fursat hi sahi

    Source:

    Kulliyat-e-Qalaq (Pg. ebook-320 page-242)

    • Author: Qalaq Merathi
      • Edition: 1966
      • Publisher: Syed Imtiyaz Ali Taj, Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1966
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now