zindagi mein gham tera shamil raha
zindagī meñ ġham tirā shāmil rahā
duur mujh se kis qadar sāhil rahā
tum dimāġhoñ meñ ulajh kar rah ga.iiñ
maiñ to dil thā aur hamesha dil rahā
us ko azbar ho ga.iiñ ġhazleñ mirī
maiñ magar is fan meñ kab kāmil rahā
tez-rau 'ushshāq manzil pā ga.e
maiñ fishār-e-'ishq meñ kāhil rahā
maiñ khilaunā to nahīñ insān huuñ
us ko samjhānā baḌā mushkil rahā
mujh ko marne kā sabab mā'lūm thā
mere zer-e-āstīñ qātil rahā
'ishq sab ke aaj phīke paḌ ga.e
merā qissa barsar-e-mahfil rahā
haar kar bhī jiit jaanā thā mujhe
jiit kar bhī to sanam buzdil rahā
zindagi mein gham tera shamil raha
dur mujh se kis qadar sahil raha
tum dimaghon mein ulajh kar rah gain
main to dil tha aur hamesha dil raha
us ko azbar ho gain ghazlen meri
main magar is fan mein kab kaamil raha
tez-rau 'ushshaq manzil pa gae
main fishaar-e-'ishq mein kahil raha
main khilauna to nahin insan hun
us ko samjhana baDa mushkil raha
mujh ko marne ka sabab ma'lum tha
mere zer-e-astin qatil raha
'ishq sab ke aaj phike paD gae
mera qissa barsar-e-mahfil raha
haar kar bhi jit jaana tha mujhe
jit kar bhi to sanam buzdil raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.