zindagi mein rang bharte KHair-o-shar achchhe lage
zindagī meñ rang bharte ḳhair-o-shar achchhe lage
mujh ko is shāḳh-e-junūñ ke sab samar achchhe lage
vaqt kī raftār se takrār meñ thā ik ḳhalā
aur is takrār se ham be-ḳhabar achchhe lage
hijr ho yā vasl sab khāyā piyā aur niiñd lī
saare mausam apne apne vaqt par achchhe lage
aatā jaatā ruuh kā mehmāñ mujhe achchhā lagā
aur use mujh-jism ke dīvār-o-dar achchhe lage
manzileñ achchhī lagīñ to rāstā achchhā lagā
rāstā achchhā lagā to ham-safar achchhe lage
us galī ke moḌ par ik nursery thī phuul the
mujh ko us tak le ke jaate rāhbar achchhe lage
aap ko merā hunar achchhā lagā ho yā nahīñ
mujh ko sab achchhā lagā sab ke hunar achchhe lage
zindagi mein rang bharte KHair-o-shar achchhe lage
mujh ko is shaKH-e-junun ke sab samar achchhe lage
waqt ki raftar se takrar mein tha ek KHala
aur is takrar se hum be-KHabar achchhe lage
hijr ho ya wasl sab khaya piya aur nind li
sare mausam apne apne waqt par achchhe lage
aata jata ruh ka mehman mujhe achchha laga
aur use mujh-jism ke diwar-o-dar achchhe lage
manzilen achchhi lagin to rasta achchha laga
rasta achchha laga to ham-safar achchhe lage
us gali ke moD par ek nursery thi phul the
mujh ko us tak le ke jate rahbar achchhe lage
aap ko mera hunar achchha laga ho ya nahin
mujh ko sab achchha laga sab ke hunar achchhe lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.