Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zinhaar uski phir koi qimat nahin rahi

Talib Jaipuri

zinhaar uski phir koi qimat nahin rahi

Talib Jaipuri

MORE BYTalib Jaipuri

    zinhār us phir koī qīmat nahīñ rahī

    jis dil meñ tere ġham amānat nahīñ rahī

    shāyad kisī ne mujh ko farāmosh kar diyā

    aglī ab firāq meñ lazzat nahīñ rahī

    ab nigāh-e-nāz meñ vo garmiyāñ nahīñ

    dil ko iztirāb aadat nahīñ rahī

    vo zindagī abas hai na ho jis meñ soz-o-sāz

    us dil pe haif jis meñ mohabbat nahīñ rahī

    kuchh yuuñ miTā rahī hai mujhe gardish-e-falak

    duniyā ko jaise merī zarūrat nahīñ rahī

    har lamha un yaad rahī monis-e-hayāt

    har chand un ko mujh se mohabbat nahīñ rahī

    'tālib' pe ab kisī nigāh-e-karam nahīñ

    shāyad matā-e-ishq qīmat nahīñ rahī

    zinhaar us ki phir koi qimat nahin rahi

    jis dil mein tere gham ki amanat nahin rahi

    shayad kisi ne mujh ko faramosh kar diya

    agli si ab firaq mein lazzat nahin rahi

    ya ab nigah-e-naz mein wo garmiyan nahin

    ya dil ko iztirab ki aadat nahin rahi

    wo zindagi abas hai na ho jis mein soz-o-saz

    us dil pe haif jis mein mohabbat nahin rahi

    kuchh yun miTa rahi hai mujhe gardish-e-falak

    duniya ko jaise meri zarurat nahin rahi

    har lamha un ki yaad rahi monis-e-hayat

    har chand un ko mujh se mohabbat nahin rahi

    'talib' pe ab kisi ki nigah-e-karam nahin

    shayad mata-e-ishq ki qimat nahin rahi

    Source:

    Gul-e-Sahra (Pg. 33)

    • Author: Talib Jaipuri
      • Publisher: Talib Jaipuri
      • Year of Publication: 1967
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now