Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ziya-e-husn-e-jaanan jaguzin malum hoti hai

Tabeeb Arvi

ziya-e-husn-e-jaanan jaguzin malum hoti hai

Tabeeb Arvi

MORE BYTabeeb Arvi

    ziyā-e-husn-e-jānāñ jāguzīñ ma.alūm hotī hai

    bayāz-e-chashm-e-dil arsh-e-barīñ ma.alūm hotī hai

    tirī sūrat bhī kaisī dil-nashīñ ma.alūm hotī hai

    ki jis dil meñ use DhūñDo vahīñ ma.alūm hotī hai

    asar is darja kar rakkhā hai ḳhauf-e-hijr ne dil par

    ki un haañ bhī ab mujh ko nahīñ ma.alūm hotī hai

    idhar āñkheñ milīñ un se musaḳhḳhar thā idhar āshiq

    nigāh-e-dil-rubā sehr-āfrīñ ma.alūm hotī hai

    bahār aa.ī hai fasl-e-junūñ aa.ī hai gulshan meñ

    ik ik gul qabā be-āstīñ ma.alūm hotī hai

    na niklī hai na ab niklegī mere ḳhāna-e-dil se

    ik ik hasrat mirī ḳhalvat-nashīñ ma.alūm hotī hai

    kuchh aisā ho gayā chashm-e-kahīl-e-yār saudā

    ki nargis bhī mujhe ab surmagīñ ma.alūm hotī hai

    ghulāyā mujh ko rafta-rafta yār-e-zulf-e-barham ne

    mohabbat us mār-e-āstīñ ma.alūm hotī hai

    kaTe ham ḳhauf se bal un peshānī pe kyā aaya

    koī shamshīr vo chīñ-bar-jabīñ ma.alūm hotī hai

    tirī shīrīñ-kalāmī vo dil ko shauq hai saaqī

    sharāb-e-talḳh bhī ab añgbīñ ma.alūm hotī hai

    nigāh-e-ārzū par bhī asar hai yaas itnā

    ki sar-tā-pā nigāh-e-vāpsīñ ma.alūm hotī hai

    jahāñ baal aa gayā us meñ kahāñ phir ḳhair shīshe

    tumhārī zulf dil meñ jāguzīñ ma.alūm hotī hai

    kiyā hai is qadar gum mujh ko zauq-e-jab.ha-sā.ī ne

    shabīh-e-pā mujhe naqsh-e-jabīñ ma.alūm hotī hai

    guzar kar mai-kade se chashma-e-kausar pe pahuñchī

    nazar shaiḳh-e-haram daur meñ ma.alūm hotī hai

    'tabīb' apnī ġhazal hai koī phūlā-phalā gulshan

    baḌī sairāb sheroñ zamīñ ma.alūm hotī hai

    ziya-e-husn-e-jaanan jaguzin malum hoti hai

    bayaz-e-chashm-e-dil arsh-e-barin malum hoti hai

    teri surat bhi kaisi dil-nashin malum hoti hai

    ki jis dil mein use DhunDo wahin malum hoti hai

    asar is darja kar rakkha hai KHauf-e-hijr ne dil par

    ki un ki han bhi ab mujh ko nahin malum hoti hai

    idhar aankhen milin un se musaKHKHar tha idhar aashiq

    nigah-e-dil-ruba sehr-afrin malum hoti hai

    bahaar aai hai ya fasl-e-junun aai hai gulshan mein

    ek ek gul ki qaba be-astin malum hoti hai

    na nikli hai na ab niklegi mere KHana-e-dil se

    ek ek hasrat meri KHalwat-nashin malum hoti hai

    kuchh aisa ho gaya chashm-e-kahil-e-yar ka sauda

    ki nargis bhi mujhe ab surmagin malum hoti hai

    ghulaya mujh ko rafta-rafta yar-e-zulf-e-barham ne

    mohabbat us ki mar-e-astin malum hoti hai

    kaTe hum KHauf se bal un ki peshani pe kya aaya

    koi shamshir wo chin-bar-jabin malum hoti hai

    teri shirin-kalami ka wo dil ko shauq hai saqi

    sharab-e-talKH bhi ab angbin malum hoti hai

    nigah-e-arzu par bhi asar hai yas ka itna

    ki sar-ta-pa nigah-e-wapsin malum hoti hai

    jahan baal aa gaya us mein kahan phir KHair shishe ki

    tumhaari zulf dil mein jaguzin malum hoti hai

    kiya hai is qadar gum mujh ko zauq-e-jabha-sai ne

    shabih-e-pa mujhe naqsh-e-jabin malum hoti hai

    guzar kar mai-kade se chashma-e-kausar pe ja pahunchi

    nazar shaiKH-e-haram ki daur mein malum hoti hai

    'tabib' apni ghazal hai ya koi phula-phala gulshan

    baDi sairab sheron ki zamin malum hoti hai

    Source:

    Nawa-e-Bahar (Pg. 122)

    • Author: Tabeeb Arvi
      • Publisher: Tabeeb Academy, Arrah
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now