Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ziya-e-subh-e-tabassum ki aarzu na karo

Nazim Sultanpuri

ziya-e-subh-e-tabassum ki aarzu na karo

Nazim Sultanpuri

MORE BYNazim Sultanpuri

    ziyā-e-sub.h-e-tabassum aarzū na karo

    ki taak meñ abhī tīra-shabī hai be-ḳhabaro

    samā sakeñge na bikhre hue hasīñ jalve

    hisār-e-chashm abhī aur kuchh kushāda karo

    jo paḌh sako to ye ḳhāmosh-o-bad-numā chehre

    ḳhud apne vaqt tārīḳh bhī haiñ dīda-varo

    ḳhushī dhuup meñ jaltā hai zindagī badan

    ġham-e-latīf ke saa.e kahāñ hameñ ham-safaro

    ruḳh-e-hayāt pe raqsāñ hai jo ḳhushī tarah

    vo soz-e-ishq adnā kiran hai be-basro

    hamīñ se sub.h-e-banaras hamīñ se shām-e-avadh

    hamīñ se dillī galiyāñ hasīñ thiiñ tāj-varo

    gavāhī dete haiñ tārīḳh-e-ahd ke safhe

    ye aur baat hai ab tum na e'tirāf karo

    ḳhizāñ ko rang-e-bahārāñ jo de sako 'nāzim'

    kabhī bahār-e-gurezāñ justujū na karo

    ziya-e-subh-e-tabassum ki aarzu na karo

    ki tak mein abhi tira-shabi hai be-KHabaro

    sama sakenge na bikhre hue hasin jalwe

    hisar-e-chashm abhi aur kuchh kushada karo

    jo paDh sako to ye KHamosh-o-bad-numa chehre

    KHud apne waqt ki tariKH bhi hain dida-waro

    KHushi ki dhup mein jalta hai zindagi ka badan

    gham-e-latif ke sae kahan hamein ham-safaro

    ruKH-e-hayat pe raqsan hai jo KHushi ki tarah

    wo soz-e-ishq ki adna kiran hai be-basro

    hamin se subh-e-banaras hamin se sham-e-awadh

    hamin se dilli ki galiyan hasin thin taj-waro

    gawahi dete hain tariKH-e-ahd ke safhe

    ye aur baat hai ab tum na e'tiraf karo

    KHizan ko rang-e-bahaaran jo de sako 'nazim'

    kabhi bahaar-e-gurezan ki justuju na karo

    Source:

    Harf-e-Aagahi (Pg. 42)

    • Author: Nazim Sultanpuri
      • Publisher: Suhail Ahmad Khan
      • Year of Publication: 1977
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now