ziyaada ho agar qurbat to rishte TuT jate hain
ziyāda ho agar qurbat to rishte TuuT jaate haiñ
agar puurī na ho hasrat to rishte TuuT jaate haiñ
zarā sā vaqt to māñgā hī kartā hai har ik rishta
agar miltī nahīñ fursat to rishte TuuT jaate haiñ
kabhī qismat se hī bante haiñ duniyā meñ ka.ī rishte
kabhī achchhī na ho qismat to rishte TuuT jaate haiñ
dil-o-jāñ se koī chāhe to us kī qadr bhī karnā
nahīñ doge agar 'izzat to rishte Tuut jaate haiñ
amīroñ se kabhī bāteñ suno bad-hāl rishtoñ kī
ziyāda ho agar daulat to rishte TuuT jaate haiñ
baḌe nāzuk se dhāgoñ se bune jaate haiñ ye yaaro
lagāoge agar tāqat to rishte Tuut jaate haiñ
suno tum ajnabī ban kar hī rahnā siikh lo 'pūnam'
ki baḌh jaatī hai jab chāhat to rishte TuuT jaate haiñ
ziyaada ho agar qurbat to rishte TuT jate hain
agar puri na ho hasrat to rishte TuT jate hain
zara sa waqt to manga hi karta hai har ek rishta
agar milti nahin fursat to rishte TuT jate hain
kabhi qismat se hi bante hain duniya mein kai rishte
kabhi achchhi na ho qismat to rishte TuT jate hain
dil-o-jaan se koi chahe to us ki qadr bhi karna
nahin doge agar 'izzat to rishte Tut jate hain
amiron se kabhi baaten suno bad-haal rishton ki
ziyaada ho agar daulat to rishte TuT jate hain
baDe nazuk se dhagon se bune jate hain ye yaro
lagaoge agar taqat to rishte Tut jate hain
suno tum ajnabi ban kar hi rahna sikh lo 'punam'
ki baDh jati hai jab chahat to rishte TuT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.