Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zulf chhuTti tere ruKH par to dil apna phirta

Shah Naseer

zulf chhuTti tere ruKH par to dil apna phirta

Shah Naseer

MORE BYShah Naseer

    zulf chhuTtī tire ruḳh par to dil apnā phirtā

    ghar ko be-shām nahīñ sub.h bhūlā phirtā

    dekhne ko jo mirā na tamāshā phirtā

    to maiñ juuñ sho.ala-e-javvāla na chaltā-phirtā

    kab jafāoñ se tirī dil hai hamārā phirtā

    shak agar tujh ko hai zālim to dobāra phirtā

    baḳht-e-bargashta-e-majnūñ abhī sīdhe ho jaa.eñ

    dasht meñ aa.e agar nāqa-e-lailā phirtā

    gardish-e-charḳh se sar kyuuñ na mah-o-ḳhur phire

    ki shab o roz ye rahtā hai hiñDolā phirtā

    jins-e-dil tirī us zulf se phirnā ma.alūm

    ho ke ḳhat-kash jo bike vo nahīñ saudā phirtā

    ḳhāl-e-ruḳhsār-e-butāñ nahīñ bhartā ye ḳhayāl

    kishvar-e-dil meñ hamāre hai kanhayyā phirtā

    dil qismat meñ azal se thī likhī tishna-labī

    kyuuñ na us chāh-e-zaqan se ye piyāsā phirtā

    sharm se dāman-e-sāhil meñ chhupī hai har mauj

    jo aThkheliyoñ se hai lab-e-dariyā phirtā

    dard-e-dil ishq chausar meñ na kaTtī hargiz

    gar kabhī jiit apnī koī paasā phirtā

    aaj piirī meñ bhī apne na phire baḳht-e-siyāh

    ki daraḳhtoñ bhī din Dhalte saayā phirtā

    TuuT jaatī jo kabhī aas tire milne

    to na laTTū tarah dil ye hamārā phirtā

    bā.is-e-jumbish-e-insāñ hai to ai tār-e-nafas

    varna ye baiTh ke uThtā na ye chaltā-phirtā

    sair-e-sahrā-e-junūñ-ḳhez armāñ na rahā

    tere hāthoñ se maiñ kyā ābla-e-pā phirtā

    ne har kaam pe chasm-numā.ī varna

    maiñ bagūle tarah ḳhaak uḌātā phirtā

    apne girye dikhātā maiñ tujhe tuġhyānī

    gar shab-e-vasl mire paas na aa phirtā

    anjum-e-charḳh bhī ban jaate haiñ mānind-e-habāb

    maah sūrat-e-girdāb hai baalā phirtā

    likh 'nasīr' ek ġhazal aur badal kar ke radīf

    tausan-e-ḳhāma hai ab dekh to kaisā phirtā

    zulf chhuTti tere ruKH par to dil apna phirta

    ghar ko be-sham nahin subh ka bhula phirta

    dekhne ko jo mera tu na tamasha phirta

    to main jun shoala-e-jawwala na chalta-phirta

    kab jafaon se teri dil hai hamara phirta

    shak agar tujh ko hai zalim to dobara phirta

    baKHt-e-bargashta-e-majnun abhi sidhe ho jaen

    dasht mein aae agar naqa-e-laila phirta

    gardish-e-charKH se sar kyun na mah-o-KHur ka phire

    ki shab o roz ye rahta hai hinDola phirta

    jins-e-dil ka teri us zulf se phirna malum

    ho ke KHat-kash jo bike wo nahin sauda phirta

    KHal-e-ruKHsar-e-butan ka nahin bharta ye KHayal

    kishwar-e-dil mein hamare hai kanhayya phirta

    dil ki qismat mein azal se thi likhi tishna-labi

    kyun na us chah-e-zaqan se ye piyasa phirta

    sharm se daman-e-sahil mein chhupi hai har mauj

    tu jo aThkheliyon se hai lab-e-dariya phirta

    dard-e-dil ishq ki chausar mein na kaTti hargiz

    gar kabhi jit ka apni koi pasa phirta

    aaj piri mein bhi apne na phire baKHt-e-siyah

    ki daraKHton ka bhi din Dhalte hi saya phirta

    TuT jati jo kabhi aas tere milne ki

    to na laTTu ki tarah dil ye hamara phirta

    bais-e-jumbish-e-insan hai to ai tar-e-nafas

    warna ye baiTh ke uThta na ye chalta-phirta

    sair-e-sahra-e-junun-KHez ka arman na raha

    tere hathon se main kya aabla-e-pa phirta

    tu ne har kaam pe ki chasm-numai warna

    main bagule ki tarah KHak uData phirta

    apne girye ki dikhata main tujhe tughyani

    gar shab-e-wasl mere pas na tu aa phirta

    anjum-e-charKH bhi ban jate hain manind-e-habab

    mah ka surat-e-girdab hai baala phirta

    likh 'nasir' ek ghazal aur badal kar ke radif

    tausan-e-KHama hai ab dekh to kaisa phirta

    Source:

    Kulliyat-e-Shah Nasiir(part-1) (Pg. 166)

    • Author: Shah Naseer
      • Edition: 1971
      • Publisher: Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now