Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zulf-e-dauran hai kahan saya-fagan mere baad

Khwaja Shauq

zulf-e-dauran hai kahan saya-fagan mere baad

Khwaja Shauq

MORE BYKhwaja Shauq

    Interesting Fact

    (Tarahi Mushaira Bazm-e-Jivan)

    zulf-e-daurāñ hai kahāñ sāya-fagan mere ba.ad

    muntazir der se haiñ dār-o-rasan mere ba.ad

    kis ko dil-bastagi-e-ġham salīqa sauñpūñ

    sochtā huuñ ki na mar jaa.e ye fan mere ba.ad

    maiñ zamāne se uThā rasm-e-vafā sūrat

    phirnā ubhrī kisī māthe pe shikan mere ba.ad

    mere dam tak to zar-e-gul bhī qīmat na uThī

    ḳhaak ke mol ga.ī arz-e-chaman mere ba.ad

    hosh-mandī sazā de na kisī ko yārab

    dam-ba-ḳhud pahle se haiñ ahl-e-vatan mere ba.ad

    bazm-e-hastī hai ki ik boltā sannāTā hai

    aa ga.ī vaqt sāñsoñ meñ ghuTan mere ba.ad

    raushnī-sāz-zamāna huuñ to ye aalam hai

    dekhiye kyā ho zamāne chalan mere ba.ad

    mil jā.egā koī zarf-o-nazar maarā

    dil-shikasta na raheñ rañj-o-mehan mere ba.ad

    vaqt ne zehniyateñ kitnī badal Daalī haiñ

    bijliyāñ tak haiñ havā-ḳhvāh-e-chaman mere ba.ad

    mujh pe hañstā hai zamāna to koī baat nahīñ

    rañg lā.egī mire dil jalan mere ba.ad

    maut bar-haq hai magar 'shauq' ye manzūr nahīñ

    un ke chehre pe ho sadme thakan mere ba.ad

    zulf-e-dauran hai kahan saya-fagan mere baad

    muntazir der se hain dar-o-rasan mere baad

    kis ko dil-bastagi-e-gham ka saliqa saunpun

    sochta hun ki na mar jae ye fan mere baad

    main zamane se uTha rasm-e-wafa ki surat

    phirna ubhri kisi mathe pe shikan mere baad

    mere dam tak to zar-e-gul ki bhi qimat na uThi

    KHak ke mol gai arz-e-chaman mere baad

    hosh-mandi ki saza de na kisi ko yarab

    dam-ba-KHud pahle se hain ahl-e-watan mere baad

    bazm-e-hasti hai ki ek bolta sannaTa hai

    aa gai waqt ki sanson mein ghuTan mere baad

    raushni-saz-zamana hun to ye aalam hai

    dekhiye kya ho zamane ka chalan mere baad

    mil hi jaega koi zarf-o-nazar ka mara

    dil-shikasta na rahen ranj-o-mehan mere baad

    waqt ne zehniyaten kitni badal Dali hain

    bijliyan tak hain hawa-KHwah-e-chaman mere baad

    mujh pe hansta hai zamana to koi baat nahin

    rang laegi mere dil ki jalan mere baad

    maut bar-haq hai magar 'shauq' ye manzur nahin

    un ke chehre pe ho sadme ki thakan mere baad

    Source:

    Chashm-e-Nigran (Pg. 84)

    • Author: Khwaja Shauq
      • Publisher: Husami Book Depot, Hyderabad
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now