Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zulf jo ruKH par tere ai mehr-e-talat khul gai

Bahadur Shah Zafar

zulf jo ruKH par tere ai mehr-e-talat khul gai

Bahadur Shah Zafar

MORE BYBahadur Shah Zafar

    zulf jo ruḳh par tire ai mehr-e-tal.at khul ga.ī

    ham ko apnī tīra-rozī haqīqat khul ga.ī

    kyā tamāshā hai rag-e-lailā meñ Duubā neshtar

    fasd-e-majnūñ bā.is-e-josh-e-mohabbat khul ga.ī

    dil saudā ik nigah par hai tirī Thahrā huā

    narḳh kyā pūchhtā hai ab to qīmat khul ga.ī

    aa.ine ko naaz thā kyā apne rū-e-sāf par

    aañkh par dekhte terī sūrat khul ga.ī

    thī asīrān-e-qafas ko aarzū parvāz

    khul ga.ī khiḌkī qafas kyā ki qismat khul ga.ī

    tere aariz par huā āḳhir ġhubār-e-ḳhat numūd

    khul ga.ī ā.īna-rū dil kudūrat khul ga.ī

    be-takalluf aa.e tum khole hue band-e-qabā

    ab girah dil hamāre fil-haqīqat khul ga.ī

    bāñdhī zāhid ne tavakkul par kamar sau baar chust

    lekin āḳhir bā.is-e-sustī-e-himmat khul ga.ī

    khulte khulte ruk ga.e vo un ko ne ai 'zafar'

    sach kaho kis aañkh se dekhā ki chāhat khul ga.ī

    zulf jo ruKH par tere ai mehr-e-talat khul gai

    hum ko apni tira-rozi ki haqiqat khul gai

    kya tamasha hai rag-e-laila mein Duba neshtar

    fasd-e-majnun bais-e-josh-e-mohabbat khul gai

    dil ka sauda ek nigah par hai teri Thahra hua

    narKH tu kya puchhta hai ab to qimat khul gai

    aaine ko naz tha kya apne ru-e-saf par

    aankh hi par dekhte hi teri surat khul gai

    thi asiran-e-qafas ko aarzu parwaz ki

    khul gai khiDki qafas ki kya ki qismat khul gai

    tere aariz par hua aaKHir ghubar-e-KHat numud

    khul gai aaina-ru dil ki kudurat khul gai

    be-takalluf aae tum khole hue band-e-qaba

    ab girah dil ki hamare fil-haqiqat khul gai

    bandhi zahid ne tawakkul par kamar sau bar chust

    lekin aaKHir bais-e-susti-e-himmat khul gai

    khulte khulte ruk gae wo un ko tu ne ai 'zafar'

    sach kaho kis aankh se dekha ki chahat khul gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now