zulfen khul khul ke giri jati hain KHud shanon par
zulfeñ khul khul ke girī jaatī haiñ ḳhud shānoñ par
aaj vahshat kā alag rang hai dīvānoñ par
baad meñ dekhte haiñ jhiil sī āñkheñ terī
pahle to aa ke nazar Tiktī hai pistānoñ par
koī ilzām tarāshī kī zarūrat na paḌī
ham ne ḳhud haath rakhe apne garebānoñ par
tujh ko mā'lūm nahīñ terī hifāzat ke liye
lā'nteñ kitnī paḌīñ tere nigahbānoñ par
maiñ ne jab dekhā sar-e-tūr tirā sach nahīñ hai
tab taras aayā tirī diid ke hairānoñ par
shaam ke vaqt jahāñ bhar ke satā.e darvesh
ek parcham ke tale milte haiñ mai-ḳhānoñ par
ham ne har roz na.e shahr kī miTTī Daalī
zindagī baḳhshne vaale tire ehsānoñ par
zulfen khul khul ke giri jati hain KHud shanon par
aaj wahshat ka alag rang hai diwanon par
baad mein dekhte hain jhil si aankhen teri
pahle to aa ke nazar Tikti hai pistanon par
koi ilzam tarashi ki zarurat na paDi
hum ne KHud hath rakhe apne garebanon par
tujh ko ma'lum nahin teri hifazat ke liye
la'nten kitni paDin tere nigahbanon par
main ne jab dekha sar-e-tur tera sach nahin hai
tab taras aaya teri did ke hairanon par
sham ke waqt jahan bhar ke satae darwesh
ek parcham ke tale milte hain mai-KHanon par
hum ne har roz nae shahr ki miTTi Dali
zindagi baKHshne wale tere ehsanon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.