zulm ki jo bhi mazammat nahin karne wale
zulm kī jo bhī mazammat nahīñ karne vaale
aise logoñ kī ham 'izzat nahīñ karne vaale
saath le aa.egī phir se koī bint-e-havvā
is liye ḳhvāhish-e-jannat nahīñ karne vaale
āḳhirī saañs talak Tuut ke chāheñge tumheñ
'ishq ham hasb-e-zarūrat nahīñ karne vaale
'ishq meñ terī jagah aur kisī ko de kar
ham amānat meñ ḳhayānat nahīñ karne vaale
ḳhvāb āñkhoñ ke jinheñ sauñp diye haiñ tum ne
vo to ḳhvāboñ kī hifāzat nahīñ karne vaale
ham se 'āfī' jo milo milnā ḳhulūs-e-dil se
ham munāfiq kī to 'izzat nahīñ karne vaale
zulm ki jo bhi mazammat nahin karne wale
aise logon ki hum 'izzat nahin karne wale
sath le aaegi phir se koi bint-e-hawwa
is liye KHwahish-e-jannat nahin karne wale
aaKHiri sans talak Tut ke chahenge tumhein
'ishq hum hasb-e-zarurat nahin karne wale
'ishq mein teri jagah aur kisi ko de kar
hum amanat mein KHayanat nahin karne wale
KHwab aankhon ke jinhen saunp diye hain tum ne
wo to KHwabon ki hifazat nahin karne wale
hum se 'afi' jo milo milna KHulus-e-dil se
hum munafiq ki to 'izzat nahin karne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.