KHud hii duniyaa ko sajaataa hai lubhaane ke liye

KHud hii mansuuba banaataa hai miTaane ke liye
KHud-numaa.ii kii tamanna bhii use hai jis ne
laakh parde kiye chehre ko chhupaane ke liye
KHud hii gandum bhii ugaataa hai iram me.n pahle
aur paabandii lagaa detaa hai khaane ke liye
naar-e-namruud me.n vo bhejtaa hai apnaa KHaliil
aag bha.Dkaataa hai gulzaar banaane ke liye
vo jo fir'aun ke lashkar ko Dubo detaa hai
raah kar detaa hai dariyaa me.n divaane ke liye
KHud hii bulvaataa hai muusaa ko baraa.e diidaar
tuur kaa tuur tajallii se jalaane ke liye
husn vo yuusuf-e-kan’aa.n ko 'ataa kartaa hai
ek 'aalam ko zuleKHaa.ii sikhaane ke liye
us kii hikmat to sabhii 'aql se baalaa-tar hai
us kii qudrat hai kahaa.n 'aql me.n aane ke liye
aasmaano.n kaa musavvir hai niraalaa kaisaa
saarii tasviir banaataa hai miTaane ke liye

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.