kuchh dinon se mera aaina mujhe achchha lage

Sohan Rahi

kuchh dinon se mera aaina mujhe achchha lage

Sohan Rahi

MORE BYSohan Rahi

  kuchh dinoñ se merā ā.īna mujhe achchhā lage

  jab use dekhūñ mirā chehrā tirā chehrā lage

  tere har ik bol meñ simTī hai aise ras-kathā

  terā jhūTā qaul bhī ab to mujhe sachchā lage

  tere nainoñ ke gagan maiñ kabhī panchhī banūñ

  mukh tirā chandā kabhī sūraj kabhī taarā lage

  zindagī ke shor jañgal meñ dukhī rāgnī

  saath ho jaa.e tirā to ras-bharā naġhma lage

  aise kājal lakīroñ ne sameTā rain ko

  ab añdherā bhī mujhe achchhā lage ujlā lage

  bin kahe aur bin sune jo ruuTh jaa.e to kabhī

  saañs to chaltī rahe jiinā magar jhūTā lage

  pyaar baazī meñ 'rāhī' haar to jiit hai

  zindagī merī jo miTTī thī vo ab sonā lage

  kuchh dinon se mera aaina mujhe achchha lage

  jab use dekhun mera chehra tera chehra lage

  tere har ek bol mein simTi hai aise ras-katha

  tera jhuTa qaul bhi ab to mujhe sachcha lage

  tere nainon ke gagan ka main kabhi panchhi banun

  mukh tera chanda kabhi suraj kabhi tara lage

  zindagi ke shor jangal mein dukhi ki ragni

  sath ho jae tera to ras-bhara naghma lage

  aise kajal ki lakiron ne sameTa rain ko

  ab andhera bhi mujhe achchha lage ujla lage

  bin kahe aur bin sune jo ruTh jae to kabhi

  sans to chalti rahe jina magar jhuTa lage

  pyar ki bazi mein 'rahi' haar hi to jit hai

  zindagi meri jo miTTi thi wo ab sona lage

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY