jazba ali hain josh ali hausla ali
jazba 'alī haiñ josh 'alī hausla 'alī
dīn-e-nabī kī raah ke haiñ rahnumā 'alī
jab ḳhud laqab huzūr ne maulā kā de diyā
kam hogā kaise aap kā phir martaba 'alī
jitne bhī silsile haiñ tarīqat ke dosto
miltā hai sab kā aap hī se silsila 'alī
dīn-e-nabī pe saarā gharānā luTā diyā
tum sā nahīñ hai koī saḳhī aur yā-'alī
itnī buland shaan kisī aur kī kahāñ
ḳhaibar-shikan haiñ shauhar-e-ḳhairunnisā 'alī
paidā 'sho'aib' hoñge ka.ī sūrmā magar
paidā na hogā aur koī dūsrā 'alī
jazba 'ali hain josh 'ali hausla 'ali
din-e-nabi ki rah ke hain rahnuma 'ali
jab KHud laqab huzur ne maula ka de diya
kam hoga kaise aap ka phir martaba 'ali
jitne bhi silsile hain tariqat ke dosto
milta hai sab ka aap hi se silsila 'ali
din-e-nabi pe sara gharana luTa diya
tum sa nahin hai koi saKHi aur ya-'ali
itni buland shan kisi aur ki kahan
KHaibar-shikan hain shauhar-e-KHairunnisa 'ali
paida 'sho'aib' honge kai surma magar
paida na hoga aur koi dusra 'ali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.