kitni izzat mere husain ki hai
kitnī 'izzat mire husain kī hai
saarī 'azmat mire husain kī hai
jis kī ḳhvāhish meñ log marte haiñ
haañ vo jannat mire husain kī hai
un ke naanā haiñ rahmat-e-'ālam
yā'nī rahmat mire husain kī hai
ek lashkar ke sāmne tanhā
kyā shujā'at mire husain kī hai
jis kī tārīḳh meñ misāl nahīñ
vo shahādat mire husain kī hai
har taraf un ke aaj charche haiñ
aisī shohrat mire husain kī hai
maiñ ne likkhī hai manqabat jo 'mu'īn'
mujh pe shafqat mire husain kī hai
kitni 'izzat mere husain ki hai
sari 'azmat mere husain ki hai
jis ki KHwahish mein log marte hain
han wo jannat mere husain ki hai
un ke nana hain rahmat-e-'alam
ya'ni rahmat mere husain ki hai
ek lashkar ke samne tanha
kya shuja'at mere husain ki hai
jis ki tariKH mein misal nahin
wo shahadat mere husain ki hai
har taraf un ke aaj charche hain
aisi shohrat mere husain ki hai
main ne likkhi hai manqabat jo 'mu'in'
mujh pe shafqat mere husain ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.