Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bak raha hun aaj kal hizyan baqi KHair hai

Syed Fahimuddin

bak raha hun aaj kal hizyan baqi KHair hai

Syed Fahimuddin

MORE BYSyed Fahimuddin

    bak rahā huuñ aaj kal hizyān baaqī ḳhair hai

    aur lāhaq hai zarā nisyān baaqī ḳhair hai

    kaar mere yaar thī aur phir chorī thī

    ho gayā hai chuuk meñ chālān baaqī ḳhair hai

    ghaas bhī ugtī nahīñ hai baal bhī ugte nahīñ

    ban gayā hai sar mirā maidān baaqī ḳhair hai

    fikr to baat koī bhī nahīñ hai jān-e-jāñ

    ghar meñ haiñ bas darjanoñ mehmān baaqī ḳhair hai

    ek arsa ho gayā hai raat din thāne meñ huuñ

    aur chhuTne nahīñ imkān baaqī ḳhair hai

    jis bañgla dekh kar ghar-bār ko chhoḌā gayā

    vo to yaksar ho ga.ī anjān baaqī ḳhair hai

    bah rahī hai rāt-bhar se naak sar meñ dard hai

    aur kuchh sunet nahīñ haiñ kaan baaqī ḳhair hai

    saal se hai saas merī dākuoñ qaid meñ

    māñgte haiñ vo baḌā tāvān baaqī ḳhair hai

    hai zarā ḳhārish dādā-jān ko laqvā bhī hai

    aur haiñ bīmār dādī-jān baaqī ḳhair hai

    kal se hai bachchī ko haiza aur bachche ko buḳhār

    sab se chhoTe ko huā yarqān baaqī ḳhair hai

    baat ab tashvīsh koī nahīñ aisī 'fahīm'

    duur tak miltā nahīñ insān baaqī ḳhair hai

    bak raha hun aaj kal hizyan baqi KHair hai

    aur lahaq hai zara nisyan baqi KHair hai

    kar mere yar ki thi aur phir chori ki thi

    ho gaya hai chuk mein chaalan baqi KHair hai

    ghas bhi ugti nahin hai baal bhi ugte nahin

    ban gaya hai sar mera maidan baqi KHair hai

    fikr ki to baat koi bhi nahin hai jaan-e-jaan

    ghar mein hain bas darjanon mehman baqi KHair hai

    ek arsa ho gaya hai raat din thane mein hun

    aur chhuTne ka nahin imkan baqi KHair hai

    jis ka bangla dekh kar ghar-bar ko chhoDa gaya

    wo to yaksar ho gai anjaan baqi KHair hai

    bah rahi hai raat-bhar se nak sar mein dard hai

    aur kuchh sunet nahin hain kan baqi KHair hai

    sal se hai sas meri dakuon ki qaid mein

    mangte hain wo baDa tawan baqi KHair hai

    hai zara KHarish si dada-jaan ko laqwa bhi hai

    aur hain bimar dadi-jaan baqi KHair hai

    kal se hai bachchi ko haiza aur bachche ko buKHar

    sab se chhoTe ko hua yarqan baqi KHair hai

    baat ab tashwish ki koi nahin aisi 'fahim'

    dur tak milta nahin insan baqi KHair hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now