Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai ab to hasinaon ka halqa mere aage

Nazar Barni

hai ab to hasinaon ka halqa mere aage

Nazar Barni

MORE BYNazar Barni

    hai ab to hasīnāoñ halqa mire aage

    salmā mire pīchhe hai zuleḳhā mire aage

    ab bach ke kahāñ jaa.e har ik samt hai dīvār

    biivī mire pīchhe hai to bachcha mire aage

    be-parda vo college meñ to phirtī haiñ barābar

    oḌhā mirī mahbūb ne burqa mire aage

    maiñ ab ke election meñ gañvā baiThā zamānat

    Duubā mirī qismat sitāra mire aage

    baḌhne tamannā ho to mujh jaise bano tum

    kahne lagā sāhab ye chamcha mire aage

    das bachchoñ ke abbā haiñ magar hai yahī ḳhvāhish

    har vaqt baiThī rahe lailā mire aage

    ab vo bhī to kahne lage mujh ko 'nazar' uncle

    niklā hai murādoñ janāza mire aage

    hai ab to hasinaon ka halqa mere aage

    salma mere pichhe hai zuleKHa mere aage

    ab bach ke kahan jae har ek samt hai diwar

    biwi mere pichhe hai to bachcha mere aage

    be-parda wo college mein to phirti hain barabar

    oDha meri mahbub ne burqa mere aage

    main ab ke election mein ganwa baiTha zamanat

    Duba meri qismat ka sitara mere aage

    baDhne ki tamanna ho to mujh jaise bano tum

    kahne laga sahab ka ye chamcha mere aage

    das bachchon ke abba hain magar hai yahi KHwahish

    har waqt hi baiThi rahe laila mere aage

    ab wo bhi to kahne lage mujh ko 'nazar' uncle

    nikla hai muradon ka janaza mere aage

    RECITATIONS

    Nazar Barni

    Nazar Barni,

    Nazar Barni

    hai ab to hasinaon ka halqa mere aage Nazar Barni

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now