Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum un ko lae rah par mazaq hi mazaq mein

Inayat Ali Khan

hum un ko lae rah par mazaq hi mazaq mein

Inayat Ali Khan

MORE BYInayat Ali Khan

    ham un ko laa.e raah par mazāq mazāq meñ

    bane phir un ke ham-safar mazāq mazāq meñ

    paḌe rahe phir un ke ghar mazāq mazāq meñ

    maze se ho ga.ī basar mazāq mazāq meñ

    huā hai jadde meñ jo ik mazāhiya mushā.era

    ham aa ga.e ḳhudā ke ghar mazāq mazāq meñ

    latīfa-goī jo raat chal paḌā thā silsila

    ubal paḌe ka.ī gutter mazāq mazāq meñ

    uTho ki ab namāz-e-fazr ke liye vuzū kareñ

    ki raat to ga.ī guzar mazāq mazāq meñ

    yahāñ 'ināyat' aap ko mushā.eron daad ne

    chaḌhā diyā hai baañs par mazāq mazāq meñ

    hum un ko lae rah par mazaq hi mazaq mein

    bane phir un ke ham-safar mazaq hi mazaq mein

    paDe rahe phir un ke ghar mazaq hi mazaq mein

    maze se ho gai basar mazaq hi mazaq mein

    hua hai jadde mein jo ek mazahiya mushaera

    hum aa gae KHuda ke ghar mazaq hi mazaq mein

    latifa-goi ka jo raat chal paDa tha silsila

    ubal paDe kai gutter mazaq hi mazaq mein

    uTho ki ab namaz-e-fazr ke liye wuzu karen

    ki raat to gai guzar mazaq hi mazaq mein

    yahan 'inayat' aap ko mushaeron ki dad ne

    chaDha diya hai bans par mazaq hi mazaq mein

    Source:

    Muntakhab Shahekar Mazahiya Shayari (Pg. 104)

    • Author: Roohi Kanjahi
      • Edition: 1992
      • Publisher: Alhamd Publications
      • Year of Publication: 1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now